ye kis ne dasht-e-balā se mujhe pukārā hai
abhī abhī to mujhe zindagī ne haarā hai
tasavvur-e-ruḳh-e-jānāñ kiye hue ham log
hamārī aañkh meñ aañsū nahīñ sitārā hai
koī charāġh na jugnū na aa.ina na kitāb
ye kaisā ḳhvāb mirī aañkh par utārā hai
bas ik umiid hai jis ne sambhāl rakkhā hai
bas ek naam hai jis kā hameñ sahārā hai
abhī maiñ āya-e-tat.hīr paḌhne vaalā huuñ
ye ḳhāmushī kisī ilhām kā ishārā hai