Aamir Suhail

kahaniyon ne zara khinch kar badan apne

Aamir Suhail

1977
kahāniyoñ ne zarā khīñch kar badan apne
haram-sarā se bulāyā hameñ vatan apne
khule gale kī qamīseñ khule gale ke firāq
ye laḌkiyāñ haiñ badaltī haiñ pairahan apne
ġhadar ke phuul sajātī haiñ aise bāloñ meñ
sambhāl saktī hoñ jaise bhare badan apne
ajab bhaḌak hai sharāboñ kī aur āñkhoñ kī
balā hai husn bidakne lage haiñ ban apne
parā.e dard kī Thikrī se ghar kareñ raushan
ki siflagī kī riyāzat meñ haiñ magan apne
ye inkisār ke putle ye sīm-o-zar kī sanā
ye masḳhare haiñ ki chole meñ gorkan apne
hameñ nikālo gharoñ kī kamīn gāhoñ se
lahū ke ram se dahakne lage ḳhutan apne
ham ehtiyāj ke hujroñ se rizq chunte hue
zamīñ ke ḳhvān pe rakhne lage lagan apne
ye ārzūoñ ke chaqmāq se jale siine
jo ātishīñ haiñ magar nochte haiñ tan apne
yahāñ zamīn pe balve yahāñ zamīñ pe fasād
nikāl rakhte haiñ sandūq se kafan apne
vo baas duur ke ḳhatoñ kī auratoñ meñ uḌī
jise jahāzoñ meñ laa.e the ham-suḳhan apne
Top Urdushayar.com