sar ko āvāz se vahshat hī sahī
aur vahshat meñ aziyyat hī sahī
ḳhāk-zādī tire ushshāq bahut
maiñ tirī yaad se ġhārat hī sahī
vo kahāñ haiñ ki jo maslūb na the
merī miTTī meñ baġhāvat hī sahī
āh-o-āhañg-o-ihānat ke kanār
ai mirī pyaas pe tohmat hī sahī
ḳhud se mīsāq ġhalat thā merā
ai tire ḳhvāb zarūrat hī sahī
ishq ai ishq azādār huuñ maiñ
dosh pe bār-e-hazīmat hī sahī
phir kisī ḳhvāb kī bai.at kar leñ
phir kisī dukh kī tilāvat hī sahī
ek ḳhvāhish ki jise sīñch sakeñ
rā.igānī kī riyāzat hī sahī
ham se kuchh aur to kyā honā hai
ik tire ġham kī hifāzat hī sahī
lauTte haiñ ki bulātā hai koī
bārish-e-sañg-e-malāmat hī sahī
TūTte haiñ ki nasha TūTtā hai
ḳhud se milne meñ aziyyat hī sahī
ab kisī aur kī ḳhvāhish hī kahāñ
ab tire hijr se fursat hī sahī
kāġhzī shahr uḌe jaate haiñ vo
āsmānoñ kī rifāqat hī sahī