is jāda-e-ushshāq kī taqdīr ajab hai
muTThī meñ jahāñ paañv meñ zanjīr ajab hai
be-vaq.at-o-kam-māya sahī ḳhvāb hamāre
ḳhvāboñ se alag hone kī ta.azīr ajab hai
maiñ sher kahūñ aur tire naam pe ro duuñ
ye rañj kā pairā-e-dil-gīr ajab hai
āñkhoñ meñ bichhe surma.ī maḳhmal kī adā aur
mahmil meñ phaTe hoñToñ kī tahqīr ajab hai
har iiñT mirī nazm ko detī hai dilāsā
ye kunj-e-ġhazal sahn-e-mazā miir ajab hai
dāġhoñ kī bahāroñ se mo.attar hai koī jism
aur ism paḌhe jaane meñ tāḳhīr ajab hai
ye ḳhāk-basar husn ye mahtāb kī Tahnī
roñdī huī sabze kī ye jāgīr ajab hai
nīlā.e hue sehnoñ kī bastī meñ hai kohrām
daryāfta sayyāre kī tasḳhīr ajab hai
dil sakte ke aalam se nikaltā nahīñ 'āmir'
ik baat ke sah jaane kī tāsīr ajab hai