siskiyoñ hichkiyoñ aahoñ kī farāvānī meñ
uljhaneñ kitnī haiñ is ishq kī āsānī meñ
ye tire bāloñ kā tālāb kī tah ko chhūnā
hālat-e-ḳhvāb meñ yā ālam-e-uryānī meñ
be-hijābāna kisī lahr kā tujh tak aana
phir tire jism kā bah jaanā ghane paanī meñ
kahkashāoñ kā ġhazāloñ kā ġhazal-zādoñ kā
dūr-o-nazdīk se aanā tirī mehmānī meñ
raat kā jhuknā tirī pusht pe dildārī ko
baaġh ke peḌoñ kā aa jaanā rajaz-ḳhvānī meñ
bām-o-dar dekhte jaate haiñ khaḌe sakte meñ
ik sitāre kā tavārud tirī peshānī meñ
marmarīñ uñgliyāñ ik dil pe likheñ hāl-e-hinā
phuul āvāz kā khil jaa.e pashemānī meñ
chāñd maḳhrūtī ubhāroñ pe shuā.eñ pheñke
is qadar mahv tujhe dekh ke hairānī meñ
sāya-e-sābit-o-sayyār ke haale meñ chalūñ
aur jahānoñ meñ rahūñ terī nigahbānī meñ