adā hai ḳhvāb hai taskīn hai tamāshā hai
hamārī aañkh meñ ik shaḳhs be-tahāshā hai
zarā sī chaa.e girī aur daaġh daaġh varaq
ye zindagī hai ki aḳhbār kā tarāshā hai
tumhārā boltā chehra palak se chhū chhū kar
ye raat ā.īna kī hai ye din tarāshā hai
tire vajūd se bāra-darī damak uTThī
ki phuul pallū sarakne se irti.āshā hai
maiñ be-zabāñ nahīñ jo boltā huuñ likh likh kar
mirī zabān tale zahr kā batāshā hai
tumhārī yaad ke charkoñ se laḳht laḳht hai jī
ki ḳhanjaroñ se kisī ne badan ko qāshā hai
jahān bhar se jahāñ-gard dekhne aa.eñ
ki putliyoñ kā mire mulk meñ tamāshā hai