lahū meñ rañg-e-suḳhan us kā bhar ke dekhte haiñ
charāġh baam se jis ko utar ke dekhte haiñ
mulā.emat hai ġhazal kī sī us kī bātoñ meñ
ye baat hai to chalo baat karke dekhte haiñ
sahīfa-e-lab-o-ruḳhsār-o-pairahan us kā
tilāvatoñ meñ haiñ patte shajar ke dekhte haiñ
balā ke naame haiñ do sīpyā.ī āñkhoñ meñ
gurez-o-gardish-o-ġhamze nazar ke dekhte haiñ
balā.eñ lete hue husn-e-be-nihāyat kī
tirī taraf tire ushshāq Dar ke dekhte haiñ
charāġhte haiñ kisī nazm ke ghane abrū
kisī ġhazal kī judā.ī meñ mar ke dekhte haiñ
Thahar gayā ho na āvāz-e-pā tirī sun kar
so dil pe ra.asha-zada haath dhar ke dekhte haiñ
karaḳhtagī hai na ḳhud-raftagī na fahmā.ish
mizāj badle hue ham safar ke dekhte haiñ
ruke hue haiñ bahut log dekhne ke liye
so ham bhī sho.abde us ḳhvāb-gar ke dekhte haiñ
bharī hai rañj kī bārish se umr kī kārez
ham ek kone meñ baiThe haiñ ghir ke dekhte haiñ
ab uTh bhī jaa.e koī ḳhvāb-gāh-e-girya se
vo pau phaTī vo manāre sahar ke dekhte haiñ
ye sīmyā.ī badan ḳhvāb-e-nīm-shab to nahīñ
so ḳhāl-o-ḳhad kī tamāzat ko Dar ke dekhte haiñ
ai tere sabza-e-ruḳhsār kī dil-āvezī
navāh-e-chashm se aañsū guzar ke dekhte haiñ
kaTī hai umr ġhazal-zād-gāñ kī sohbat meñ
unhī ke kūche meñ āḳhir bikhar ke dekhte haiñ
mashaqqatī haiñ tire kāḳh-o-kū-e-hijr ke ham
sharāb-e-hijr pyāle meñ bhar ke dekhte haiñ
jhukā.e kāñdhoñ ko ushshāq pā-ba-gil kī tarah
niDhāl pyaas se ham log thar ke dekhte haiñ
balā kā qaht hai sailāb hai ta.attul hai
koī vatan hai manāzir ġhadar ke dekhte haiñ
ho izn sañg-e-lahad ke tavāf kā 'āmir'
tuyūr uḌte hue kāshġhar ke dekhte haiñ
chalī hai tohmat-o-takzīb kī havā 'āmir'
so shahr-e-ḳhāk-o-ḳhabar meñ Thahar ke dekhte haiñ