Aamir Suhail

gale se der talak lag ke roen abr-o-sahab

Aamir Suhail

1977
gale se der talak lag ke ro.eñ abr-o-sahāb
haTā diye haiñ zamān-o-makāñ ke ham ne hijāb
lahad kī miTTī kī taqdīr kī amaan maiñ duuñ
safed laTThe meñ kafnā ke surḳh shāḳh-e-gulāb
maiñ āsmān tire jism pe bichhā detā
magar ye niil meñ chādar banī nahīñ kamḳhāb
tirā vo rātoñ ko uTh kar sisak sisak ronā
lahū meñ niiñd kī Tīseñ palak pe ijz ke ḳhvāb
tire jalā.e diyoñ meñ bhaḌaktī aag kā pher
zamīñ kī rehl pe rakkhe na raushnī kī kitāb
havā bahisht ke bāġhoñ kī zulf zulf phire
tirī lahad tire bālīñ ke gard jū-e-sharāb
kamān khīñch zamāne kī sū-e-sīna-zanāñ
ai farq-e-nāz gale se utaar tauq-e-ġhayāb
maiñ ek yaḳh-zada māthe ko chuum kar dam-e-sub.h
tirī zamīnoñ se guzrūñgā ai jahān-e-ḳharāb
mashaqqatī haiñ tire kāḳh-o-kū-e-hijr ke ham
ai kār-ḳhāna-e-aflāk-o-ḳhāk-o-āb-o-sarāb
ye tañg-o-tār-gaḌhā nuur se bhare 'āmir'
sadā rahe tere hujre meñ hāla-e-māhtāb
Top Urdushayar.com