agar ye zid hai ki mujh se duā salām na ho
to aisī raah se guzro jo rāh-e-ām na ho
sunā to hai ki mohabbat pe log marte haiñ
ḳhudā kare ki mohabbat tumhārā naam na ho
bahār-e-āriz-e-gulgūñ tujhe ḳhudā kī qasam
vo sub.h mere liye bhī ki jis kī shaam na ho
mire sukūt ko nafrat se dekhne vaale
yahī sukūt kahīñ bā.is-e-kalām na ho
ilāhī ḳhair ki un kā salām aayā hai
yahī salām kahīñ āḳhirī salām na ho
mujhe to raas na aa.ī hayāt-e-nau lekin
ḳhatā-muāf tumhārā bhī ye maqām na ho
'jamīl' un se ta.āruf to ho gayā lekin
ab un ke baad kisī se duā salām na ho