sadiyoñ se zamāne kā ye andāz rahā hai
saaya bhī judā ho gayā jab vaqt paḌā hai
bhūle se kisī aur kā rasta nahīñ chhūte
apnī to har ik shaḳhs se raftār judā hai
us rind-e-balā-nosh ko siine se lagā lo
mai-ḳhāne kā zāhid se patā pūchh rahā hai
mañjdhār se Takrā.e haiñ himmat nahīñ haare
TuuTī huī patvār pe ye zo.am rahā hai
ghar apnā kisī aur kī nazroñ se na dekho
har tarah se ujḌā hai magar phir bhī sajā hai
mai-kash kisī tafrīq ke qaa.el hī nahīñ haiñ
vaa.iz ke liye bhī dar-e-mai-ḳhāna khulā hai
ye daur bhī kyā daur hai is daur meñ yaaro
sach bolne vāloñ kā hī anjām burā hai