jis kī sauñdhī sauñdhī ḳhushbū āñgan āñgan paltī thī
us miTTī kā bojh uThāte jism kī miTTī galtī thī
jis ko taap ke garm lihāfoñ meñ bachche so jaate the
dil ke chūlhe meñ har dam vo aag barābar jaltī thī
garm do-pahroñ meñ jalte sehnoñ meñ jhāḌū dete the
jin būḌhe hāthoñ se pak kar roTī phuul meñ Dhaltī thī
kisī kahānī meñ vīrānī meñ jab dil ghabrātā thā
kisī aziiz duā kī ḳhushbū saath hamāre chaltī thī
gard uḌāte zard bagūle dar par dastak dete the
aur ḳhasta-dīvāroñ kī pal bhar meñ shakl badaltī thī
ḳhushk khajūr ke pattoñ se jab niind kā bistar sajtā thā
ḳhvāb-nagar kī shahzādī galiyoñ meñ aan nikaltī thī
din aatā thā aur siine meñ shaam kā ḳhāka bantā thā
shaam aatī thī aur jismoñ meñ shaam bhī āḳhir Dhaltī thī