Hammad Niyazi

sehan-e-ainda ko imkan se dhoe jaen

Hammad Niyazi

Punjab, Pakistan

1984
sehan-e-ā.inda ko imkān se dho.e jaa.eñ
bāñjh hai qarya-e-jāñ aa.iye ro.e jaa.eñ
us sehr-zādī kī peshānī ko chūmeñ jhūmeñ
ḳhud meñ ḳhurshīd baneñ shab meñ piro.e jaa.eñ
ghaḌiyāñ kāñdhoñ pe rakhe ye mire peḌ se log
sub.h se shaam talak dhuup ko Dho.e jaa.eñ
ḳhvāb-e-derīna kā manzar bhī ajab manzar hai
ham tirī god meñ jāgeñ bhī to so.e jaa.eñ
dasht-e-dil meñ koī pagDanDī banā.eñ us par
DhūñDne jaa.eñ use dasht meñ kho.e jaa.eñ
Top Urdushayar.com