yaqīñ kī saltanat thī aur sultānī hamārī
damaktī thī duā kī lau se peshānī hamārī
mahaktā thā ghane peḌoñ se vīrāna hamārā
jahān-e-āb-o-gil par thī nigahbānī hamārī
hamāre jism ke TukḌe hue rauñde ga.e ham
magar zinda rahī āñkhoñ meñ hairānī hamārī
ham is ḳhātir tirī tasvīr kā hissa nahīñ the
tire manzar meñ aa jaa.e na vīrānī hamārī
bahut lambe safar kī gard chehroñ par paḌī thī
kisī ne dasht meñ sūrat na pahchānī hamārī
kisī ne kab bhalā jaanā hamārā karb-e-vahshat
kisī ne kab bhalā jaanī pareshānī hamārī