Hammad Niyazi

dil ke sune sahn mein gunji aahaT kis ke panw ki

Hammad Niyazi

Punjab, Pakistan

1984
dil ke suune sahn meñ gūñjī aahaT kis ke paañv kī
dhūp-bhare sannāTe meñ āvāz sunī hai chhāñv kī
ik manzar meñ saare manzar pas-manzar ho jaane haiñ
ik dariyā meñ mil jaanī haiñ lahreñ sab dariyāoñ kī
dasht-navardī aur hijrat se apnā gahrā rishta hai
apnī miTTī meñ shāmil hai miTTī kuchh sahrāoñ kī
bārish kī būñdoñ se ban meñ tan meñ ek bahār aa.ī
ghar ghar gaa.e giit gagan ne gaūñjīñ galiyāñ gaañv kī
sub.h savere nañge paañv ghaas pe chalnā aisā hai
jaise baap kā pahlā bosa qurbat jaise maaoñ kī
ik jaisā ehsās lahū meñ jiitā jāgtā rahtā hai
ek udāsī de jaatī hai dastak roz havāoñ kī
sīnoñ aur zamīnoñ kā ab manzar-nāma badlegā
har sū kasrat ho jaanī hai phūloñ aur duāoñ kī
Top Urdushayar.com