Hammad Niyazi

sabz-kheton se umaDti raushni taswir ki

Hammad Niyazi

Punjab, Pakistan

1984
sabz-khetoñ se umaDtī raushnī tasvīr kī
maiñ ne apnī aañkh se ik harf-gah tāmīr kī
sun qatār andar qatār ashjār kī sargoshiyāñ
aur kahānī paḌh ḳhizāñ ne raat jo tahrīr kī
kachchī qabroñ par sajī ḳhushbū kī bikhrī laash par
ḳhāmushī ne ik na.e andāz meñ taqrīr kī
bachpane kī dars-gāhoñ meñ purāne TaaT par
dil ne hairānī kī pahlī bārgah tasḳhīr kī
raushnī meñ raqs karte ḳhaak ke zarrāt ne
intihā-e-āb-o-gil kī avvalīñ tafsīr kī
kohsāroñ ke saroñ par bādaloñ kī pagḌiyāñ
ek tamsīl-e-numāyāñ āya-e-tat.hīr kī
dhund ke lashkar kā chāroñ or pahrā thā magar
ik diye ne raushnī kī raat bhar tash.hīr kī
aaj phir āb-e-muqaddas aañkh se hijrat kiyā
ghar pahuñchne meñ kisī ne aaj phir tāḳhīr kī
Top Urdushayar.com