be-sabab ho ke be-qarār aayā
mere pīchhe mirā ġhubār aayā
chand yādoñ kā shor thā mujh meñ
maiñ use qabr meñ utaar aayā
us ko dekhā aur us ke baad mujhe
apnī hairat pe e'tibār aayā
bhuul baiThā hai rañg-e-gul mirā dil
partav-e-gul pe itnā pyaar aayā
ek duniyā ko chāhtā thā vo
ek duniyā meñ us pe vaar aayā
saañs letī thī koī hairānī
maiñ jise lafz meñ utaar aayā
kuchh na aayā hamāre kaase meñ
aur aayā to intizār aayā
kab mujhe us ne iḳhtiyār diyā
kab mujhe ḳhud pe iḳhtiyār aayā
bār-e-vahshat koī uThātā kyā
so digar baar dil pe baar aayā