hujra-e-ḳhvāb se bāhar niklā
kaun ye mere barābar niklā
phaḌ-phaḌāyā mire bāhar koī
aur parinda mire andar niklā
aañkh se ashk nikal aa.e haiñ
ret se jaise samundar niklā
hijr ko ḳhvāb meñ dekhā ik din
aur phir ḳhvāb-e-muqaddar niklā
mere pīchhe mirī vahshat bhāgī
maiñ jo dīvār girā kar niklā
aañkh bīnā.ī gañvā baiThī to
terī tasvīr se manzar niklā
raat siine kī havelī gūñjī
aur dil shor machā kar niklā
shaam phailī to khulā az-sar-e-nau
merā saaya mirā paikar niklā