hamāre bas meñ kyā hai aur hamāre bas meñ kyā nahīñ
jahān-e-hast-o-būd meñ kisī pe kuchh khulā nahīñ
huzūr-e-ḳhvāb der tak khaḌā rahā saver tak
nasheb-e-qalb-o-chashm se guzar tirā huā nahīñ
nazar meñ ik charāġh thā badan meñ ek baaġh thā
charāġh o baaġh ho chuke koī rihā rahā nahīñ
ujaḌ ga.iiñ haveliyāñ chalī ga.iiñ saheliyāñ
dilā tirī qabīl se koī bhī ab bachā nahīñ
havas kī razm-gāh meñ badan kī kār-gāh meñ
vo shor thā ki duur tak kisī ne kuchh sunā nahīñ
na jaane kitne yug Dhale na jaane kitne dukh pale
gharoñ meñ hāñDiyoñ tale kisī ko kuchh pata nahīñ
vo peḌ jis kī chhāñv meñ kaTī thī umr gaañv meñ
maiñ chuum chuum thak gayā magar ye dil bharā nahīñ