bhulā diyā bhī agar jaa.e sarsarī kiyā jaa.e
mutāle.a mirī vahshat kā lāzmī kiyā jaa.e
ham aise log jo ā.inda o guzishta haiñ
hamāre ahd ko maujūd se tahī kiyā jaa.e
ḳhabar milī hai ki us ḳhush-ḳhabar kī aamad hai
so ehtimām-e-suḳhan aaj multavī kiyā jaa.e
hameñ ab apne na.e rāste banāne haiñ
jo kaam kal hameñ karnā hai vo abhī kiyā jaa.e
nahīñ ba.iid ye ahkām-e-tāza jaarī hoñ
ki gumbadoñ se parindoñ ko ajnabī kiyā jaa.e
bas ek lamha tire vasl kā mayassar ho
aur us visāl ke lamhe ko dā.imī kiyā jaa.e