Sareer Kabiri

jise tu ne samjha hai zindagi usi inqalab ka nam hai

Sareer Kabiri

Gaya, Bihar, India

1888-1963
jise tū ne samjhā hai zindagī usī inqalāb kā naam hai
kabhī din huā kabhī shab huī kabhī sub.h hai kabhī shaam hai
tah-e-ḳhāk bhī dil-e-mubtalā ko kabhī qarār na aa.egā
huuñ abhī se hashr kā muntazir ki naved jalva-e-ām hai
koī hausla hai na mudda.ā koī aarzū hai na iltijā
mire dil meñ ik tirī yaad hai mire lab pe ik tirā naam hai
vahāñ va.ade hote haiñ aa.e din sar-e-shām ḳhvāb meñ ā.eñge
yahāñ iztirāb-e-tamām se mirī shab kī niiñd harām hai
tū sharāb de ki na de magar mire dil ko toḌ na sāqiyā
ki ġharīb bāda-parast kā yahī shīsha hai yahī jaam hai
mire zauq-e-dīd kā ho burā kahāñ jā ke señke koī nazar
na tajallī-e-sar-e-rah-guzar na tajallī-e-sar-e-bām hai
mirī qaid-e-zīst ke saath hī hai ajal kī qaid lagī huī
huuñ sarīr meñ vo asīr-e-ġham jo qafas meñ bhī tah-e-dām hai
Top Urdushayar.com