Sareer Kabiri

usi ka jalwa-e-zeba hai chandni kya hai

Sareer Kabiri

Gaya, Bihar, India

1888-1963
usī kā jalva-e-zebā hai chāñdnī kyā hai
ye chāñd kyā hai ye sūraj kī raushnī kyā hai
usī ke husn pe detā hai jaan parvāna
nahīñ to sham ke sho.aloñ meñ dilkashī kyā hai
kahāñ kā vasl kahāñ kā firāq kis kā gila
vajūd ek hī Thahrā to phir duī kyā hai
kisī pe rāz-e-haqīqat khule tū ḳhaak khule
jab aadmī nahīñ vāqif ki aadmī kyā hai
jabīn-e-shauq hai aur un kā āstāna hai
jo bandagī ye nahīñ hai to bandagī kyā hai
zabān o dil ke ta.alluq kā bhī lihāz rahe
'sarīr' dil ko na chhū le vo shā.irī kyā hai
Top Urdushayar.com