Sareer Kabiri

tashkil badar ki hai kabhi hai hilal ki

Sareer Kabiri

Gaya, Bihar, India

1888-1963
tashkīl badar kī hai kabhī hai hilāl kī
duniyā hai ik shabīh urūj-o-zavāl kī
phūloñ se hai ladī huī har shāḳh-e-gulsitāñ
rakh lī ḳhudā ne aabrū dast-e-zavāl kī
jannat-farosh hūroñ ke dallāl ḳhirqa-posh
kyā pūchhte ho vā.iz-e-farḳhanda-fāl kī
in mah-vashoñ ko parde se bāhar nikāl ke
duniyā miTā.ī jaatī hai husn-o-jamāl kī
mujh ko milā hai vo dil be-mudda.ā 'sarīr'
jis ko ġham-e-firāq na hasrat visāl kī
Top Urdushayar.com