Maikash Badayuni

kaun aaya gesuon ko pareshan kiye hue

Maikash Badayuni

kaun aayā gesuoñ ko pareshāñ kiye hue
bardādī-e-nigāh kā sāmāñ kiye hue
phir chāhtā huuñ ḳhanjar-e-qātil se irtibāt
dushvārī-e-hayāt ko āsāñ kiye hue
phir sāhil-e-murād kī hai dil ko aarzū
kashtī ko nazr-e-shorish-e-tūfāñ kiye hue
phir huuñ tire taġhāful-e-zāhir kā shikva-sanj
jaañ ko fidā-e-pursish-e-pinhāñ kiye hue
phir haiñ harīm-e-nāz se jalvoñ kī bārisheñ
hairānī-e-nigāh kā sāmāñ kiye hue
'maikash' nahīñ mujhe mai-o-mai-ḳhāna kī talāsh
baiThā huuñ chashm-e-yār se paimāñ kiye hue
Top Urdushayar.com