ālām-e-rozgār kī maarī hai zindagī
phir bhī hameñ aziiz hai pyārī hai zindagī
āsūdagān-e-ishrat-e-hastī ko kyā ḳhabar
ham jānte haiñ jaisī hamārī hai zindagī
itnā batā chuke haiñ ki kundan banā diyā
sho.aloñ meñ ġham ke ham ne nikhārī hai zindagī
gul shāḳh par kabhī kaf-e-gul-chīñ meñ hai kabhī
yaksāñ jahāñ meñ kis ne guzārī hai zindagī
har lamha zindagī kā amānat kisī kī hai
ham zindagī ke haiñ na hamārī hai zindagī
maqdūr ho to us ko badal leñ ajal se ham
aisī firāq-e-dost meñ bhārī hai zindagī
'maikash' hameñ kahāñ haram-o-dair kī ḳhabar
ham ne to mai-kade meñ guzārī hai zindagī