Maikash Badayuni

dil mutmain nahin hai nazar mutmain nahin

Maikash Badayuni

dil mutma.in nahīñ hai nazar mutma.in nahīñ
is daur-e-ibtilā meñ bashar mutma.in nahīñ
kaif-e-bahār bazm-e-tarab raqs-e-jām-e-mai
kis kaam ke haiñ dil hī agar mutma.in nahīñ
aalam kisī ke tīr-e-nazar kā shikār hai
phir bhī kisī kā tīr-e-nazar mutma.in nahīñ
kyā jaane kis maqām pe ye saath chhoḌ deñ
in rahbaroñ se ahl-e-safar mutma.in nahīñ
sau baar āshiyāna jalāne ke bāvajūd
merī taraf se barq-o-sharar mutma.in nahīñ
faizān-e-jalva aur zarā aam kījiye
dil ko to hai yaqīn-e-nazar mutma.in nahīñ
'maikash' ko mai-kada meñ bhī ġham se nahīñ mafar
haiñ bāda-ḳhvār jam.a magar mutma.in nahīñ
Top Urdushayar.com