Maikash Badayuni

harim-e-dil se rah-e-chashm-e-tar se guzre hain

Maikash Badayuni

harīm-e-dil se rah-e-chashm-e-tar se guzre haiñ
hazār baar vo is rahguzar se guzre haiñ
vo jin ko dekh ke lutf-e-hayāt miltā hai
kuchh aise dushman-e-jāñ bhī nazar se guzre haiñ
ye itr-bār fazā.eñ ye pur-ziyā jaade
batā rahe haiñ abhī vo idhar se guzre haiñ
jo zindagī ko ḳhud apne se bad-gumāñ kar deñ
vo hādse bhī hamārī nazar se guzre haiñ
jo terī yaad kī daulat se be-nasīb rahe
vo lamhe ziist ke nā-mo'tabar se guzre haiñ
jamāl-e-dost bhī mushtāq-e-yak-nazar hai jahāñ
ham us bulandī-e-zauq-e-nazar se guzre haiñ
tumheñ to hogī ḳhabar sākinān-e-dair-o-haram
sunā hai hazrat-e-'maikash' idhar se guzre haiñ
Top Urdushayar.com