guzrī huī raunaq ke nishāñ le ke chale ham
lo kushta-charāġhoñ kā dhuāñ le ke chale ham
hai dosh pe kitne hī zamānoñ kī virāsat
har-gām pe ik bār-e-garāñ le ke chale ham
ho terā burā ārzū-e-sañg-e-havādis
so kārgah-e-shīshagarāñ le ke chale ham
is anjuman naaz meñ hai kaun ḳharīdār
be-kār matā-e-dil-o-jāñ le ke chale ham
mai-ḳhāne meñ ummīd-e-karam laa.ī thī 'maikash'
aur be-ruḳhī-e-pīre-muġhāñ le ke chale ham