āshiyāñ par karam-e-barq-e-tapāñ hai ab bhī
dekho gulshan kī fazāoñ meñ dhuāñ hai ab bhī
ham-safīrān-e-chaman tum ko mubārak ho bahār
ham asīroñ ke muqaddar meñ ḳhizāñ hai ab bhī
daur hai sañg-e-havādis kā magar kyā kahiye
dil meñ ik kār-gah-e-shīsha-garāñ hai ab bhī
ab na vo dil hai na vo dil kī tamannā lekin
chashm-e-jānāñ mirī jānib nigarāñ hai ab bhī
ham ne kyuuñ ek tabassum kī tamannā kī thī
aañkh us jurm pe ḳhūnāba-fashāñ hai ab bhī
rahnumā.ī kā ye jaadū koī dekhe 'maikash'
gard-e-rah par hameñ manzil kā gumāñ hai ab bhī