dil-e-sozān-e-āshiq maḳhzan-e-rañg-e-vafā hogā
vo hissa qadr ke qābil hai jitnā jal gayā hogā
chale the dard ko sun kar thame ye kah ke raste meñ
na jaanā ab munāsib hai vo kab kā mar gayā hogā
ye ik bose pe itnī bahs ye zebā nahīñ tum ko
nahīñ hai yaad mujh ko ḳhair achchhā le liyā hogā
chhiḌī thiiñ husn kī bahseñ idhar chāñd aur idhar tum the
kisī ko dekh kar be-parda koī chhup gayā hogā
añdhere ghar kī kuchh parvā nahīñ hai tīra-baḳhtoñ ko
tum aao qabr par raushan charāġh-e-naqsh-e-pā hogā
muravvat kī to sūrat bhī nahīñ dekhī un āñkhoñ ne
agar dhamkā.ūñ marne par to kah degā ki kyā hogā
tamāshā jāñkanī kā kyuuñ na dekhā dekh to lete
rageñ jitnī khichī thiiñ dam bhī utnā hī khichā hogā
tum aao dekhne vaalā nahīñ koī sar-e-madfan
charāġh-e-qabr afsurda thā kab kā bujh gayā hogā
abhī to aag siine meñ kahīñ kam hai kahīñ zaa.id
agar mil jā.eñge aapas meñ sab chhāle to kyā hogā
chamak uTThī jo mere zaḳhm-e-dil meñ kyā qayāmat hai
falak par chāñd niklā hogā yā koī hinsā hogā
hamīñ se pūchh lo kaise ho tum aur husn kaisā hai
agar ā.īne ko dam bhar na dekhoge to kyā hogā
ġham-e-furqat kā kyā shikva qayāmat aane vaalī hai
ḳhudā ke sāmne āḳhir to ik din sāmnā hogā
yahī 'jāved' behtar hai ki ab tauba se kar tauba
vahī chhup kar piyegā mai jo tum sā pārsā hogā