ab tak to kamī kuchh na huī dāġh-e-jigar meñ
barsoñ se charāġh ek hī jaltā rahā ghar meñ
zāhir meñ hañse vo magar aañsū nikal aa.e
thā koī asar bhī mire marne kī ḳhabar meñ
rañg uḌne na dūñgā tirī tasvīr ke ruḳh se
baaqī abhī kuchh ḳhuun ke ḳhatre haiñ jigar meñ
tausī-e-ḳhayālāt kī had mil nahīñ saktī
chhoTā sā bayābāñ nazar aa jaatā hai ghar meñ
ab baḌh nahīñ saktā ġham-e-duniyā ye ḳhushī hai
zaḳhmoñ kī jagah tak nahīñ baaqī hai jigar meñ
in añkhḌiyoñ ke surḳh maiñ Dore nahīñ bhūlā
ye bijliyāñ aisī haiñ jo ab tak haiñ nazar meñ
nā-vāqif-e-anjām kā dil hotā hai kitnā
ḳhud ro diyā dekhe jo kabhī zaḳhm jigar meñ
us daur meñ aap aa.e the ai hazrat-e-'jāved'
jis ahd meñ kuchh farq na thā aib-o-hunar meñ