mujh ko jiine se fā.eda bhī nahīñ
aur phir marzi-e-ḳhudā bhī nahīñ
nahīñ ma.alūm kyā maiñ kahtā huuñ
tum nahīñ ho to kyā ḳhudā bhī nahīñ
maut ab zindagī bhī hai mujh ko
jab mire dard kī davā bhī nahīñ
sar-e-bālīñ vo muskurāte haiñ
merī taqdīr meñ shifā bhī nahīñ
jhilmilātā hai subah kā taarā
ab to jiine kā aasrā bhī nahīñ
dar-e-dildār pā.ūñ kiyā 'jāved'
kahīñ do-chār naqsh-e-pā bhī nahīñ