Javed Lakhnvi

kaha jo usne ki kahiye to kuchh gila kya hai

Javed Lakhnvi

kahā jo us ne ki kahiye to kuchh gilā kyā hai
mirī zabān se niklā ki fā.eda kyā hai
udaas dekh ke mahfil ko merī kahte haiñ
yahāñ bhī koī musībat kā mubtalā kyā hai
bas aaj tak to bahut ḳhuub hijr meñ guzrī
ab aage dekhiye taqdīr meñ likhā kyā hai
tamām ho ga.e ham dāstān ho ga.ī ḳhatm
ab aur qissa-e-furqat kī intihā kyā hai
gale se aa ke mile vo to aur dil taḌpā
baḌhe davā se to phir dard kī davā kyā hai
har ek ashk ke qatre meñ ḳhuuñ kī shirkat ne
hamārā zaḳhm-e-jigar be-mahal hañsā kyā hai
jo dekhtā huuñ kabhī aa.ina maiñ furqat meñ
to ḳhud bhī kahtā huuñ ye aap ko huā kyā hai
sitam pe daad ke ḳhvāhāñ tumhīñ se haiñ 'jāved'
vo jāneñ kyā ki jafā kyā hai aur vafā kyā hai
Top Urdushayar.com