zindagī kā mazā nahīñ miltā
but mile to ḳhudā nahīñ miltā
manzil-e-āḳhirī hai qabr mirī
ab koī rāsta nahīñ miltā
ḳhūgar-e-zulm ho gayā aisā
mujh ko lutf-e-vafā nahīñ miltā
nigah-e-yās se kise dekhūñ
dil-e-dard-āshnā nahīñ miltā
baat itnī na umr bhar samjhe
kyā milā aur kyā nahīñ miltā
jis ko 'jāved' us ne khoyā hai
usī dil kā patā nahīñ miltā