Pritpal Singh Betab

kuchh to hain paikar pareshan aazaron ke darmiyan

Pritpal Singh Betab

Poonch, Jammu and Kashmir, India

1949
kuchh to haiñ paikar pareshāñ āzaroñ ke darmiyāñ
aur kuchh aazar pareshāñ pattharoñ ke darmiyāñ
sab ḳhabar hote hue pīr-e-muġhāñ hai be-ḳhabar
tishnagī kā ġhalġhala hai sāġharoñ ke darmiyāñ
bhiiḌ kī be-chehragī meñ haiñ ka.ī chehre nihāñ
chand sar vaale bhī haiñ in be-saroñ ke darmiyāñ
aao sab ik roz mil baiTheñ ye socheñ kyuuñ huī
is qadar bechārgī chāragaroñ ke darmiyāñ
hādsoñ ke shahr meñ ik hādsa ye bhī huā
ek shīsha aa gayā hai pattharoñ ke darmiyāñ
jā-e-hairat is na.ī tahzīb meñ maujūd hai
ik purānā sā khañDar ūñche gharoñ ke darmiyāñ
vo to bhārī paḌ gayā 'betāb' ik bichchhū kā Dañk
umr varna kaT chukī thī azdahoñ ke darmiyāñ
Top Urdushayar.com