Javed Lakhnvi

kabhi andhere se ghabrae raushni se kabhi

Javed Lakhnvi

kabhī añdhere se ghabrā.e raushnī se kabhī
kabhī bujhā.e charāġh aur kabhī jalā.e charāġh
vo bujhte dil ko na dekheñ kisī ke ḳhuub hai ye
vo muñh ko pher leñ jis vaqt jhilmilā.e charāġh
lahad pe chal ke havā gar bujhātī hai to bujhā.e
tumhārā ho chukā ehsāñ ki ḳhud jalā.e charāġh
lahad pe bū-e-vafā aa rahī thī vaqt-e-sahar
kahīñ kahīñ jo paḌe haiñ jale-jalā.e charāġh
ik āh-e-garm se turbat meñ kaam lene do
yūñhī jalā.e isī tarah se bujhā.e charāġh
jo thā to bas vahī dil-soz bhī thā ai 'jāved'
kisī ne dil na jalāyā yahāñ sivā.e charāġh
Top Urdushayar.com