gardish meñ aa.ina ho na kyuuñ rozgār kā
chullū meñ ḳhuuñ liye huuñ dil-e-be-qarār kā
bhaḌkī huī thī surḳh guloñ se chaman meñ aag
dāman na jal gayā ho nasīm-e-bahār kā
aa.e haiñ le ke ġhair ko vo pūchhne mizāj
tum ne gila kiyā thā dil-e-be-qarār kā
mahshar kī bhī ummīd pe be car jaan dī
kyā e'tibār va.ada-e-be-e'tibār kā
itnī to aarzū hai kabhī yaad kar leñ dost
shāyad kabhī phir aa.e zamāna bahār kā
sāġhar ubal rahe haiñ to shīshoñ meñ josh hai
niklā hai khich ke dam jo kisī bāda-ḳhvār kā
tum aa.e kyā ki rañg-e-zamāna badal gayā
gul ho gayā charāġh hamāre mazār kā
tasvīr kī ragoñ meñ lahū dauḌne lagā
kyā aa gayā jahān meñ mausam bahār kā