Javed Lakhnvi

jhuTi tasalliyon pe shab-e-gham basar hui

Javed Lakhnvi

jhūTī tasalliyoñ pe shab-e-ġham basar huī
uThī chamak jo zaḳhm meñ samjhā sahar huī
har har nafas chhurī hai liye qat-e-shām-e-hijr
yā aaj dam nikal hī gayā yā sahar huī
badlīñ jo karvaTeñ to zamāna badal gayā
duniyā thī be-sabāt idhar kī udhar huī
jaatī hai raushnī mirī āñkhoñ ko chhoḌ ke
taare chhupe vo so ke uThe vo sahar huī
pahle ye jāntā thā ki zaḳhmī nahīñ hai dil
jab de diyā ragoñ ne lahū jab ḳhabar huī
kis muñh se ro.uuñ maiñ dil-e-hasrat-nasīb ko
jab mar gayā ġharīb to mujh ko ḳhabar huī
'jāved' bū-e-gul ko havā aa ke le ga.ī
kaliyoñ ko ġham huā na guloñ ko ḳhabar huī
Top Urdushayar.com