shab-e-firāq meñ ye dil se guftugū kyā hai
marī umiid haiñ vo un kī aarzū kyā hai
rageñ tamām badan kī idhar ko khīñchtī haiñ
kisī kā haath qarīb-e-rag-e-gulū kyā hai
shikasta-e-ābla-e-pā ne aabrū rakh lī
khulā na haal ki paanī hai kyā lahū kyā hai
maiñ apnī maut pe raazī vo laash uThāne par
ab aage dekhnā hai marzī-e-adū kyā hai
ye kis ko aa.ine meñ aap dekhe jaate haiñ
jahāñ meñ aap se bhī koī ḳhūb-rū kyā hai
sabab bhī pūchh lo un kī zidoñ se ai 'jāved'
rulā rulā ke hañsā.eñ ye un kī ḳhū kyā hai