ik faqat sāhil talak aatā huuñ maiñ
rau meñ jaane kaise bah jaatā huuñ maiñ
manziloñ kī justujū meñ bār-hā
manziloñ se aage baḌh jaatā huuñ maiñ
bhāgtā huuñ raat jis jañgal se duur
sub.h usī ko sāmne paatā huuñ maiñ
kis ufuq meñ dafn ho jaatā hai din
har shab is uljhan ko suljhātā huuñ maiñ
mar gayā jo shaḳhs mujh meñ us kā roz
pattharoñ par naam khudvātā huuñ maiñ
qufl-e-abjad huuñ bas ik tartīb se
kholne vaalā ho khul jaatā huuñ maiñ
baar baar is shahr ko 'betāb' kyuuñ
bā-dil-e-nā-ḳhvāsta jaatā huuñ maiñ