Wajid Ali Shah Akhtar

kabhi lutf-e-zaban-e-KHush-bayan the

Wajid Ali Shah Akhtar

Lucknow, Uttar pradesh, India

1823-1887
kabhī lutf-e-zabān-e-ḳhush-bayāñ the
zamīn-e-sher ke ham āsmāñ the
lagā Thokar na paa.e naaz se tū
kabhī tāj-e-sar-e-hindostāñ the
zamīñ par charḳh detā hai abas tū
kabhī pīr-e-falak ham bhī javāñ the
zar-e-gul ban gayā naala hamārā
chaman meñ bhī hamīñ ātish-fishāñ the
makīñ thī ruuh chhoḌā jism jis dam
kirā.e ke ye sab qasr-o-makāñ the
vahī jañgal hai ab par us se aage
chaman the gul the ham the bāġhbāñ the
nahīñ ab zabt baaqī nā-tavāñ huuñ
mire aañsū nihāyat rāz-dāñ the
mire nāloñ se pahuñchā qāfila sab
jaras bekār mashġhūl-e-fuġhāñ the
jagāyā nā-tavāñ-bīnoñ ne un ko
abas vo mā.il-e-ḳhvāb-e-garāñ the
dabe zer-e-zamīñ ai charḳh mah-rū
yahāñ do din ke ye sab mehmāñ the
ajab mausam meñ kaTtī thī javānī
chaman thā aur lutf-e-qissa-ḳhvāñ the
kahāñ majnūñ kahāñ 'farhād'-o-'vāmiq'
hamārī maut ke sab nauha-ḳhvāñ the
savād-e-lucknow chhoḌā alam meñ
ye 'aḳhtar' bhī ġhazab ke ḳhush-bayāñ the
Top Urdushayar.com