zohra suhail shams ḳhur badr bahā tū kaun hai
hosh-rubā sitamgar mah-laqā tū kaun hai
bhuut ḳhabīs nāznīñ gul parī balā kahūñ
dil-lagī achchhī ye nahīñ mujh se hañsā tū kaun hai
raag ḳhayāl gaatā hai raqs ḳhushī dikhātā hai
duur se kyuuñ rijhātā hai paas to aa tū kaun hai
band haiñ lab javāb meñ ghir gayā maiñ azaab meñ
aayā jo mere ḳhvāb meñ aisā burā tū kaun hai
ab na payām-e-vasl de hijr kā kaun ġham sahe
duur ho duur ho are paas na aa tū kaun hai
aayā hai kis ke jaish se boltā hai jo taish se
maffil-o-bazm-e-aish se duur ho jā tū kaun hai
bol na 'aḳhtar' ab kabhī haT thī ye ek shaḳhs kī
tarah jo sab se kī burī ye to batā tū kaun hai