manzar-e-sarv-o-saman yaad aayā
phir se gum-gashta vatan yaad aayā
pīchhe ab kyā hai ġhubār-e-rafta
dahr meñ bāġh-e-adan yaad aayā
bāl-o-par TuuT chuke the jis vaqt
hameñ parvāz kā fan yaad aayā
phir kisī shāḳh pe koyal bolī
phir tirā rañg-e-suḳhan yaad aayā
avval ik shaḳhs kī yaad aa.ī bahut
do.em ik saañp kā phan yaad aayā
ek din sochā ki ujle ho jaa.eñ
tan ko dhoyā thā ki man yaad aayā
ḳhuun sā rah gayā dil meñ jo shaḳhs
aaj phir ban ke chubhan yaad aayā
phir se dil Duub rahā hai 'betāb'
phir zamāne kā chalan yaad aayā