Wajid Ali Shah Akhtar

labaalab kar de ai saqi hai Khaali mera paimana

Wajid Ali Shah Akhtar

Lucknow, Uttar pradesh, India

1823-1887
labālab kar de ai saaqī hai ḳhālī merā paimāna
salāmat daur-e-gardūñ tak ye shīsha aur ye mai-ḳhāna
na pūchho naam mujh vahshat-zada kā dasht-e-furqat meñ
siḌī saudā.ī majnūñ mast be-ḳhud zar-o-dīvāna
mujhe mushrik na samjho maiñ muvahhid huuñ zamāne meñ
tasāvīr-e-ḳhayālī se bharā hai merā but-ḳhāna
huā matl.a jo mushrik meñ to maġhrib meñ huā maqtā
liye phirte haiñ ham dosh-e-sabā par bait kā ḳhāna
urūs-e-fikr merī aur dūlhe se na zam hogī
faqīrī kī milegī bū jo joḌā hogā shāhāna
bhalā lahj-o-lahja īstāda kyā bayāñ hogā
qayāmat tak to suniye baiTh kar ulfat kā afsāna
za.īfī meñ bhī lipTī hai balā-e-shā.erī mujh se
na chūTegī kabhī 'aḳhtar' qalam se mashq-e-tiflāna
Top Urdushayar.com