lajyā.ī se nāzuk hai ai jaan badan terā
ab chhū nahīñ sakte ham phūlā ye chaman terā
āñkheñ tirī nargis haiñ ruḳhsār tire gul haiñ
chaTvātā hai hoñThoñ ko ye seb-e-zaqan terā
nāḳhun tire sūraj haiñ aur chāñd hathelī hai
ā.īna-e-ḳhud-rau hai shaffāf badan terā
dandāñ tire motī haiñ ḳhurshīd sā māthā hai
dur jhaḌte haiñ bātoñ meñ aisā hai dahan terā
us se tujhe nafrat hai ġhairoñ se mohabbat hai
kab bhā.egā 'aḳhtar' ko ai jaan chalan terā