dstār-e-faqīrāna ik taaj se afzūñ hai
rāh-e-tarah-e-ḳhum-ḳhāna me.arāj se afzūñ hai
aise hī hukūmat hai aise hī ibādat hai
ye shāh-e-faqīrāna mohtāj se afzūñ hai
chalte ho paristāñ meñ pariyāñ haiñ bahut shā.eq
ab husn-e-parī-ḳhāna phir aaj se afzūñ hai
kyā ġham hai chhalak jaa.e sāġhar mirā ai saaqī
vo tāknā paimāna āmāj se afzūñ hai
phir ho.e fuzūñ daulat 'aḳhtar' ye duā de tū
ye faqra-e-pīrāna ik raaj se afzūñ hai