ġhuncha-e-dil khile jo chāho tum
gulshan-e-dahr meñ sabā ho tum
be-muravvat ho bevafā ho tum
apne matlab ke āshnā ho tum
kaun ho kyā ho kyā tumheñ likkheñ
aadmī ho parī ho kyā ho tum
pista-e-lab se ham ko quvvat do
dil-e-bīmār kī davā ho tum
ham ko hāsil kisī kī ulfat se
matlab-e-dil ho mudda.ā ho tum
yahī āshiq kā paas karte haiñ
kyuuñ jī kyuuñ dar-pa-e-jafā ho tum
usī 'aḳhtar' ke tum hue māshūq
hañso bolo usī ko chāho tum