Wajid Ali Shah Akhtar

ja baiThte ho ghairon mein ghairat nahin aati

Wajid Ali Shah Akhtar

Lucknow, Uttar pradesh, India

1823-1887
jā baiThte ho ġhairoñ meñ ġhairat nahīñ aatī
us vaqt mirī jaan muravvat nahīñ aatī
nazdīk bhī jā kar na milā parda-nashīñ se
jā duur ho ai dil tujhe chāhat nahīñ aatī
ik ham haiñ ki haiñ nām-e-mubārak pe tasadduq
tum ko to kabhī dekh ke ulfat nahīñ aatī
yā rañj hai yā hijr hai yā huzn hai yā ġham
kuchh shakl banā kar to musībat nahīñ aatī
kyā rāh-ravī yaar kī sīkhe hai tū is saal
is tarah ga.ī jism se tāqat nahīñ aatī
har shai ke liye zarf hai darkār jahāñ meñ
kam-zarf ke nazdīk to sarvat nahīñ aatī
kalkatte ne nābūd kiyā ḳhvāb-e-ḳhushī ko
pal-bhar mujhe is shahr meñ rāhat nahīñ aatī
rahtā huuñ ḳhayāl-e-ruḳh-e-zebā meñ shab-o-roz
ai jaan tasavvur meñ vo sūrat nahīñ aatī
khilte haiñ gul-e-sher har ik roz mah-o-sāl
'aḳhtar' mire gulzār pe aafat nahīñ aatī
Top Urdushayar.com