zāhir meñ bhī kyā kyā parda-dārī hai
duniyā-dārī purkārī ayyārī hai
paañv tale ḳhud-dārī aur safar aage
ruk nahīñ sakte ham kaisī lāchārī hai
ek musalsal dauḌ meñ shāmil ham bhī haiñ
shauq nahīñ ye ik zehnī bīmārī hai
bād-e-muḳhālif puure zor se bahtī jaa.e
us jānib se bhī puurī tayyārī hai
maazī meñ tum jiit ga.e mujh se 'betāb'
mustaqbil kī jañg abhī tak jaarī hai