Wajid Ali Shah Akhtar

dikhate hain jo ye sanam dekhte hain

Wajid Ali Shah Akhtar

Lucknow, Uttar pradesh, India

1823-1887
dikhāte haiñ jo ye sanam dekhte haiñ
ḳhudā kī ḳhudā.ī ko ham dekhte haiñ
ye haivān hai dast-e-tāle.a pe bhārī
na.e jānvar kā qadam dekhte haiñ
zan-o-ḳhvesh-o-farzand-o-daulat se chhūTe
na dekhe koī jo ki ham dekhte haiñ
shahanshāh ham haiñ diloñ par haiñ hākim
gadā tum ko ai zī-hasham dekhte haiñ
faqat haath kaale nahīñ balki mun.im
diloñ par bhī dāġh-e-varam dekhte haiñ
kahāñ tak utartī hai siine pe mere
tirī teġh-e-abrū kā dam dekhte haiñ
bhagātī hai mār-e-siyah go ki ham ko
tirī zulf-e-mushkīñ kā sam dekhte haiñ
zamīñ par bhī detā nahīñ chain ham ko
falak tujh se jaur-o-sitam dekhte haiñ
dur-e-ashk se merā bhartī hai dāman
saḳhī tujh ko ai chashm-e-nam dekhte haiñ
na rañj aur na shādī tavassut hai ham ko
ki aish-o-alam bhī baham dekhte haiñ
kisī maah ne us ko dhokā diyā hai
ham 'aḳhtar' ko kyuuñ pur-alam dekhte haiñ
Top Urdushayar.com