Wajid Ali Shah Akhtar

barbaad na kar usko zara hath pe dhar la

Wajid Ali Shah Akhtar

Lucknow, Uttar pradesh, India

1823-1887
barbād na kar us ko zarā haath pe dhar lā
ai bād-e-sabā ḳhāk-e-dar-e-yār idhar lā
sayyād se kyā fikr hai ai tā.ir-e-mazmūñ
kāġhaz ke tujhe par bhī lageñ kaam to kar lā
le jā dil-e-betāb nishānī mirī qāsid
sīmāb se hai martaba-e-ishq ḳhabar lā
ye kaan haiñ mushtāq-e-ḳhabar qāsid-e-jānāñ
āñkhoñ ko bhī dīdār hai manzūr-e-nazar lā
hasrat hai kahīñ hasrat-e-dil us kī nikāle
is 'aḳhtar'-e-ġhamgīñ ke liye dīda-e-tar lā
Top Urdushayar.com